Lehron se darkar nauka par nahin hoti,koshish karne walon ki haar nahin hoti,
Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai,chadhti deewaron par, sau bar phisalti hai.
Man ka vishwas ragon mein saahas bharta hai,chadhkar girna, girkar chadhna na akharta hai.
Akhir uski mehnat bekar nahin hoti,koshish karne walon ki haar nahin hoti.
Dubkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai,ja ja kar khali haath lautkar aata hai
Milte nahi sahaj hi moti gehre paani mein,badhta dugna utsah isi hairani mein.
Muthi uski khali har bar nahin hoti,Koshish karne walon ki haar nahi hoti.
Asaflta ek chunauti hai, ise sweekar karo,kya kami reh gayi, dekho aur sudhar karo.
Jab tak na safal ho, neend chain ki tyago tum,Sangharsh ka maidan chhodkar mat bhago tum.Kuch kiye bina hi jai jaikar nahin hoti,koshish karne walon ki haar nahin hoti.
-Harivansh Rai Bachan
"The first step in blogging is not writing them but reading them." - Jeff Jarvis, BuzzMachine, 07-10-2006
Tuesday, December 20, 2005
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Thank you for posting this poem - although had it in scchool (1988..)I still remember it very well and has been my inspiration to reach my desitny in life.
A BIG THANKS TO SWARGIYA P. HARIVANSH RAI BACHAN for writing this poem.
Also, when I have to wake up early morning or stay awake till late night for my MBA studies, and feel lazy then I say the last sentence to myself
"Jab tak na safal ho, neend chain ki tyago tum,Sangharsh ka maidan chhodkar mat bhago tum.Kuch kiye bina hi jai jaikar nahin hoti,koshish karne walon ki haar nahin hoti."
Thanks
Post a Comment